Kuch rang hain gehre,
Jo dhoye to ja saakte hain,
Magar mitaye nahin,
Paar dhagon se rishto mein,
Piroy zaroor ja saakte hain.
Yeh rang jitne gehre hain,
Utne sachhe hain,
Apne hi wajud ki tarah.
Kuch rang hain gehre,
Jo dhoye to ja saakte hain,
Magar mitaye nahin,
Paar dhagon se rishto mein,
Piroy zaroor ja saakte hain.
Yeh rang jitne gehre hain,
Utne sachhe hain,
Apne hi wajud ki tarah.
Do saanso ke beech,
Hain khuda ka naseeb,
Hain yeh bandegi ka tabeez,
Do saanso ke beech.
Ek masoom se waqt ne ek laamha se pucha ‘Zindegi kya hain?”
laamha ne jawab mein kaha JUNOON.
masoom se waqt ne laamha se pucha ‘ Mohabbat kya hain?’
laamha ne jawab mein kaha BeMaut KhudKhusi.
masoom se waqt ne laamha se pucha ‘ Maut kya hain?’
laamha ne jawab mein kaha Azaad Arzoo.
Jaise jaise din guzaar te hain,
Raaste Guzaar te hain,
Baatein Guzaar te hain,
Tum bhi Guzaar ti ho,
Palko se.
Mein aanchui dekh ta hu tumhe,
Firse,
Tumhi Guzaar ti ho.
Kabhi abhi se,
Kabhi tabhi se,
Kabhi sabhi se.
Tumhare guzre huein pao ke nishan abhi bhi gile hain,
Gile hain hain ya tum tak raaste…?
Kal,jaise ki koi aasra ho,
Kal jisme hasi,aansu,saab sanjoye raakhe the,
Jis juth ko juthla nahi saakte,
Chupke se us juthne aaj mundi aankhe khol li,
Aab ankho mein aankhe rakhkar,
Pag pag mujhe jagati hain,
Aab Uth.